Adnow Me Ac Kaise Banye -Adnow Se Payments Receive kaise kare

Hello Dear, Ye post Adnow related hain fir bhi main yahaa kuch aise important bat btawunga jo ki har blogger ko janna bahut jaruri hain. agar ap blogging kar rahe hain aur ye post padh rahe hain to ye to fixed hain ki ap bhi blogging ke jariye paisa kamana chahte hain..

Lekin paisa kamane pahle apko kuch bato ka dhyan rakhna padega. Aksar new blogger jaldi paisa kamane ke chakkar me koi bhi Ad company ka ad apne blog me laga dete hain. Ad lagane ke bad jab kuch paisa earn ho jata hain. tab apna paisa pane ke liye payments ka request karte. jab ek bar do bar 4 bar request karte hain fir bhi jab ad company  paisa nahi send karti hain to unke hosh ud jate hain. unhe samajh me nahi ata hain ab kya kare.

Main kya batana chah raha hun ap samajh hi gaye honge, kyunki mere sath bhi aisa hua. ek ad company hain media venus jiska ad maine kuch din use kiya tha. aur jab payments ka request kiya to mera id hi delete kar di, isliye jab bhi koi ad company ka ad apne blog me use kare to thoda soch samajh kar kare, uska payment proof, scam, payment ka option check kar le.

Ab chaliye jante hain adnow ke bare me , adnow ek native ad provide karne wali ad comapny hain jo ki abhi ke time me india me bahut jyada popular ho rahi hain. iska ad aisa rahta hain jo ki lagega apka blog ka hi koi post hain jis karan isme jyada click milte hain. iska CPC bhi aur ad companiyo se achha hain,

Adnow me account banana bhi bahut asaan hain aur jaldi approved bhi mil jata hain, iske bad ad ke liye widget banana bhi easy hain,

 Adnow Me Account Kaise banaye

  1. Sabse Pahle www.adnow.com me jaye . Click Here To Adnow
  2. Upar Me Publisher Select kare.
  3. Name, Email Id, Password Dale, Agree select kare, Submit kare,
  4. Iske bad apne jo email id dala hain usme ek verification ka link aya hoga usme click karke verify kare, bas ho gaya apka account ban gaya.
  5. Ad banane ke liye Ad A Widget me click kare aur ad banaye.
  6. uske bad apna blog me ad ka code jaha ad lagana chahte hain waha paste kar de ho gya.

Adnow se payments kaise receive kare.

Adnow payments receive karne ke liye 4 option deta hain,

  1. Paypal (Minimum Payments 20 dollars)
  2. Wire transfer (Minimum Payments 200 dollars)
  3. Webmoney (Minimum Payments 20 dollars)
  4. e-payments (Minimum Payments 20 dollars)

Ap in me se kisi se bhi paisa receive kar sakte hain. payments receive karne ke liye bas apko apna balance me click karna hain. uske bad payments method select kare, aur ap jis method se paisa mangana chahte hain us option ka detail bhar de. adnow automatic 1 weak ke andar paisa send kar dega.

Payments Proof Aur Mera Experience  :-

Maine jab shuruaat me adnow use kiya aur earn karne ke bad payments ke liye request kiya aur jab do din tak paisa nhi aya to mujhe laga mera bhi paisa dub jayega. par aisa nhi hua. mera paisa mujhe mil gaya. main iski puri detail niche bata hun. ki kaise aur kab maine payments receive kiya

  1. Payments method me maine Wire transfer select kiya
  2. Uske bad apna bank ka pura detail dala aur payments ke liye request kiya (Payments Request Maine 01.12.2016 ko kiya tha)
  3. 01.12.2016 ko mujhe mail aya ki apka payments send kar diya gaya hain uske bad maine apna adnow ka dashboard me dekha to usme payments Paid bata raha tha.
  4. Fir bhi mujhe tension tha kyunki mera bank account me abhi tak paisa nahi aya tha. fir maine pata kiya to mujhe pata chala ki international transaction hain isliye 24-48 hr ke andar bank me aa jaye,  uske bad 20 hr ke bad mera payments mera bank account me aa gaya.

Payments proof :-

Adnow Payments Proof

2 Replies to “Adnow Me Ac Kaise Banye -Adnow Se Payments Receive kaise kare”

  1. सर मुझे तो Payment नहीं मिली है 2 महीनो से उपर हो गया है

    मैंने webmoney से किया था 20 $ से उपर था

    कृपया कारण बताएं

    1. Agar Apka 200 Doller Ho Gaya Hai To Wire Transfer Se Mangaye,,, 3-4 Din Me Aa Jayega,, Paypal Ur Other Method Me Problm Hota Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *