Perfect SEO-Optimized Article Kaise Likhe WordPress Blog Me

Good traffic pane ke liye ham bahut kuch karte hai, but post search engine friendly nahi rahega to kuch bhi karne pe hame badiya traffic nahi milega, because search engine hi hame badiya traffic pane me help karta, par iske liye hame SEO-optimized articles post karna padega uske bad hmare post search engine me achha rank milega,

Is article ke jariye SEO-optimized articles likhne ka kuch tips share kar raha hun, jisse search engine me achha rank pane me madad milega,

WordPress me seo friendly article likhne ke liye aapko plugin ka use karna padega, jaise all in seo, yoast seo plugin,  

Kaise likhe SEO-optimized articles

Post title and meta title

Sabse pahle aapko ye pata rahna chahiye ki post title aur meta title kya hai, kyuki search engine sabse jada focus hamari post title and meta title description pe hi focus karta hai,

  • Post title : – Apne reader ko kya dikhana chahte hai apne post ke bare me
  • Meta title :- Search engine ko isse pata chalega ki aapki post me kya hai aur usi ko search engine me dikhayega,

s1

Post title Description

Meta title Most important hai SEO ke liye, post title me aise word use kare jo high quality ke ho, jise dekh log samjh sake ki aapne kya bataya hai, waise best SEO ke liye 30 se 70 character ke andar hi rakhe post title,aur koshis kare numeric word use karne ka,

Meta title

Meta description seo ke liye bahut important hai, isse search engine ko pata chalta hai aapke blog me kya hai, aur aap kya batana chahte hai, lagbhag sare seo plugin me meta description dalne allow rahta hai, samjhe 156 character ke andar aapko apne post ke bare jankari dena hai, aur yahi jankari search engine me post title ke niche show hota hai, jisse visitor bhi ise pad ke jan sake ke aap ne kya bataya hai,

Image Alt Attribute:

Image se aap achha traffic pa sakte, par iske liye image ko seo friendly banana hoga, jabtak aap image ka nam nahi denge, search engine ko kaise pata chalega ki aapne kya bataya hai, bahut log image ka nam “image01”, “1 image”, aise rakh dete hai, isse search engine ko pta nahi chalta hai ki image kis chiz ka hai,

s2

Isliye image ka name de aur image ka nam dene ka bhi tarika rahna chahiye, jaise aapne Blog ka dashboard ke bare me bataya hai, aur image ka nam only ‘Blog’ rakhe hai,,to ye galat hai, iske liye ‘Blog-dashboard’rakhe to better hoga,

Interlink and Anchor text:

Jab bhi nya post kare apne purane post ka link post me add kare ye seo ke liye bahut badiya he, isse nye reader aapke purane post bhi padenge, aur page view bhi badega,,lekin jarurat se jyada link ko istemal na kre, 

            Read More  •  Facebook Ac Hack Kaise Kare

Permalink and remove stop words:

New post karne time jab ham post ka title dalte hai, us time post permalink me whi word aa jata jo title me rakhe hai, ,, isliye extra word ko remove kare, jaise hmne post kia :domain.com/wp-admin/how-to-make-money-online.html, ab isme “how” ”to”  extra word hai, iske liye aap ise edit karke make-money-online rakh sakte hai,

s4

H1, H2, H3 Headings:

Is feature ko ignore na kare ye bahut important hai seo ke liye, har post me H1, H2, H3 heading ka use kare, bahut sare theme me post heading ke liye already H1 Set kiya rahta hai, but na rahe to use H1 me setting kar le, aur sub heading ke liye H2 ya H3 ka istemal kare , isse aapka post ka look v achha lagega, aur search engine hamare heading ko bahut jada dhyan deta hai,

 

Koi sawal ya suggestion ho to kripya comment se bataye,

9 Replies to “Perfect SEO-Optimized Article Kaise Likhe WordPress Blog Me”

    1. Agar Ap WordPress Me He To Formats Ke Bagal Me Paragraph Me Heading Ka option Hoga Wha Se Add Kar Sakte Hain, Aur Ap Jis Topic Me Post likh Rahe Hain Usi Anusar Subheading Ka Istemal Karem

    1. Theme Panel Ya Local Page Settings Me Dekhe Theme Font Ka Option Hoga Waha Pe Post Title Me Jake Change Kar Sakte Hain

  1. आपके इस आर्टिकल से हमको बहुत मदद मिली है पोस्ट लिखने मे धन्यवाद्

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *