Website [Blog] Ka Page Loading Speed Kaise Badaye – 80% Increase

Agar aap kisi blog ya website ka owner hai to aapko pata hoga ki page ka speed aur page ka loading time kitna important hai, ye hamare blog ka seo ke liye sabse important part hai jaise..

• Better search result ke liye
• SEO ke liye
• 80% reader 3second se kam loading time wale blog ko pasand karte
• Better traffic pane ke liye
• Google bhi badiya page loading time wale blog ya website ko pasand karta hai.

Agar aap ek successful blogger banna chahte hai to aapko apna seo pe dhyan dena padega. kyuki aapko post jabtak search result me behtar position pe nahi ayega tabtak aap success nahi ho sakte .

Isliye aapko apna site ko optimize karna shuru kar dena chahiye taki aapko page loading speed bade. Jisse aapko jada visitor mile..to chaliye mai aapko kuch aise tarika batata hun jisse aapka page loading Speed 80% tk increase hoga,

Sabse pahle aap apne website ki speed check kare , speed check karne ke liye bahut sare online tool hai but inme se sabse best Gtmetrix aur google page speed tool hai,,ap isme check kare aur dekhe kis wajah se aapka speed kam hai,, uske bad wo problem ko not kare aur solve karne ka koshis kare..agar aap wordpress me hai to bahut sare plugin mil jayenge speed increase karne ka ..aur blogspot me hai to isme normal hi problem rahta hai,,,

speed

Website Ka Page Loading Speed Badhane Ka Tarika,

1. Apne Blog Ko Free CloudFlare CDN Network pe submit kare,cloudflare in add website

CloudFlare CDN Network ek Web Application Firewall, Ek distributed proxy server or ek Contend Delivery Network hai. Yeh aapki site ko optimize, security by attackers, request reaches, speed up time, unwanted traffic, server and visitor ke bich data transfer service me help karta hai. CloudFLare ki sabse achhi bat yah hai ki jab kabhi aapki share hosting offline ho jati hai to bhi cloudflare work karta hai. isi karan blog ka kabhi sever down nahi hota,

Read More   •  Blog (Website) Me 2 Domain Name Kaise Set karte hai.

2. Blog me image compress karke upload kare,

Optimize image

Jitna jyada blog ka size rahega utna speed kam rahega,,aur isme image ka role bahut bada rhata hai, isliye speed tool me dekhe aapka konsa image compress karne ke lyk he,, use compress karke upload kare,,compress karne ke liye online bahut sara tools hai ya offline bhi kar sakte..waise aap iske liye WP Smush plugin ka istemal kar sakte hai ye aapka image ko compress karta hai.

3. W3 Total Cache plugin ka istemal kare,

W3 Totle Cache

Waise online bahut sare cache plugin mil jayenge..but sabse best w3 total cahe hai,,ye apko page speed badane me bahut madad karta hai,aur bahut important plugin hai ye apke blog performance ko increase karta hai,jaise Leverage browser caching, JavaScript and CSS
, Minify HTML, ko is plugin ke madad se handle kar sakte hai,

           Read More   •   Free Me Google Se Paisa Kaise Kamaye

4. WP-Optimize plugin ka istemal kare

Jab ham apne blog me koi bhi data istemal karte hai ya use delete karte hai. but delete nahi hota wo hamare database store me store ho jata jisse page ka size bad jata hai,isliye aap WP-Optimize plugin ke madad se scrap data ko automatic delete kar sakte hai, is plugin ko use karna ka benefit hai..
• Apna database Ka size Check kar sakte
• Delete post revisions
• Remove all auto-draft posts
• Clean marked spammed comments
• Clean unapproved comments
• Optimize Database tables.

5. Basic Quick Speed Setup

• Home page me jada post show na kare,,limited post hi dikhaye jaise, 4,6,8,
• Badiya theme ya template ka istemal kare, (Fast Loading Template/Theme),
• Theme ya template se background image remove kare,
• Gravatar use na kare
• Limited ad lagaye,
• Faltu widget ka istemal na kare, jiska jarurat hai use hi istemal kare,
• Simple blog ko hi pasand kiya jata hai,,,

I hope apko ye jankari pasand ayi hogi, Agar aap ye step follow karte hai to apka page loading Speed jarur kam hoga,
Kisi tarah ka koi sawaal ya sujhaw ho to kripya comment se bataye,,aur hamari post direct email me pane ke liye free subscribe karna na bhule, Subscribe karne ke liye Yaha click kare.

     Also Read More  – Perfect SEO-Optimized Article Kaise Likhe WordPress Blog Me
                                     •   Blog Me Audio (mp3) File Kaise Upload (Share) karte Hai

20 Replies to “Website [Blog] Ka Page Loading Speed Kaise Badaye – 80% Increase”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *