Jo blogging karte hain unhe pata hai blog ke liye traffic kitna important hain. Aatma ke bina body jaisa mara hua hain. Usi tarah bina traffic ka blog hain, kahne-sunne ko to bahut kuch ata hain ki aisa karo – waisa karo traffic badh jayega. Lekin Hakikat Kuch Aur Hi Rahta Hain. Internet pe hajaro aise site hain jo traffic badhane ka tips dete hain. Par ye sab karne ke bad bhi traffic jab nahi milta hai to mind off ho jata hain. Blogging chodne ka man karne lagta hain. Aur sabse badi problem hain ki blogging chod dene se time aur paisa dono barbad ho jata hain.. To chaliye aaj main aapko batata hun traffic kyun nahi badhta hai aur traffic badhane ka solution kya hain,
Kya hain dosto jab log blogging ka adha-adhura gyan pate hain to jhat se blogspot pe ek blog bana lete hain – “jaise blog banaye aur pasia kamaye” to unhe lagta hain sirf ek blog banana hain aur kuch post likhna hain aur paisa Kaman hain. Uske bad blogspot pe blog bana ke idhar-udhar se 4-5 post copy karke apne blog me publish kar dete hain aur google adsense me apply kar dete hain.
Uske bad jab adsense approved nahi karta hai to idhar-udhar se pata karte hain ki adsense approved kyun nhi ho raha hain. Jab unhe pata chakta hain ki Domain lagane ke bad approved hoga to jhat se domain kharid lete hain.. Uske bad adsense approved ho jata hain uske bad 4-5 ad apne blog me laga dete hain aur income ka wait karne lagte hain.
Jab kuch din ho jata hain fir v income Zero rahta hain tab unhe hosh ata hain ki ab kya kare aur check karne lagte hain apna traffic. Jab pata chalta hain ki traffic bhi 20-30 har roj ho raha to fir google me search karte hain ‘traffic kaise badhaye’ ya isko-usko puchte rahte hain ki mera traffic nahi badh raha hai – mera income nahi ho raha hain..
Iske bad unhe wordpress ka pata chalta hain to wha bhi let nahi karte hain turant hosting kharid ke wordpress me shift kar jate hain..Unhe lagta hain ki wordpress me jane se traffic mil jayega aur jab yaha bhi traffic nahi milta hain to baith ke rote rahte hain ya fir blogging chod dete hain…
To chaliye dosto ab jante hain traffic kyun nahi milta hain aur income kyun nahi hota hain.
- SEO (Search Engines Optimization) ki jankari nahi rahna
- Copy content rahna
- Better topic me post nahi likhna
- Post ki kami
- Good post nahi likhna
-
SEO (Search Engines Optimization) ki jankari nahi rahna.
⇒ Blogging me SEO bahut hi important hain. Best SEO ke bina apka post search engine pe nahi ayega. Jisse apko search engine se traffic nahi milta hain. Aur ayega bhi to top ten ke andar show nhi karega. Agar top 20 ke bad apka post search engine me show karta hain to din bhar me muskil se 1-2 hi page view honge. Agar aap new hain aur search engine se traffic nahi mil raha hain to bahut problem ho jayega.. kyunki apke pas aur koi option nahi hain traffic badhane ka. Kyunki jab tak apka blog popular nahi hoga tab tak na aap apne email me feed subscriber jama kar sakte hain na hi facebook me like badha sakte hain. jisse facebook se traffic milega.. isliye SEO ki puri jankari rakhiye uske bad post likhiye.
♦ Perfect SEO-Optimized Article Kaise Likhe
-
Copy content rahna.
⇒ Copy karne vaalo ko traffic ka bahut problem hota hain. Agar aap khud se koi post apne language me nahi likh rahe hain aur idhar-udhar se copy karke post kar rahe hain to apko kabhi bhi traffic nahi milega. Kyunki search engine itna bewkuf thodi na hain ki jo original post likh raha hain use chod ke apko traffic dega. Isliye yaha-waha se copy kana bhul jaye aur khud se post likhe.
♦ Hostgator Ke cpanel Me WordPress Kaise Install kre
-
Better topic me post nahi likhna.
⇒ Kya hota hain ki jab log blogging ke bare me sunte hain to sabse pahle isi topic me likhna shuru karte hain. Unhe khud nahi pata ki blogging kya hain. Lekin jitna bahut jante hain utna likh dete hain unhe lagta hain ki jisse ham sikh rahe hai usi ki tarah hamko bhi traffic milega. Ya jis topic me hajaro site hain usi topic me likhte hain. To aap hi bataye kaha se traffic milega. Isliye blogging karne se pahle soch le ki aapko kis chij me jyada knowledge aur interest hain usi topic me blogging kare.. Iske liye internet me search kar le ki kis chij me kam blog hain.. Mai sachhi bata raha hun agar aap bilkul naya topic me post likhenge chahe kuch bhi aur 4-5 post likheneg par aapko 1000-2000 traffic milega.. lekin topic bilkul naya rahana chahiye.
♦ Free Me Google Se Paisa Kaise Kamaye♦
-
Post ki kami.
⇒ kai logo ko dekha hun ki muskil se 10-20 post likhe aur 10000-20000 traffic ki ummid karne lagte hain. Aur income check karne lagte hain to aap hi bataw mere dost jab page view badhega tab na income hoga.. aur traffic kab badhega jab post jyada rahenge…Dekhiye jab aap 50-60 post likhenge usme 10-20 hi top 10 ke andar ayega. Kuch hi post popular hote hain..aur jab jyada post rahenge to kisi post ke jariye jab koi aapka blog me in karega tabhi other post padega..isliye jyada se jyada post dale 100% der se hi sahi lekin traffic milega.
♦ Blog Me Audio (mp3) File Kaise Upload (Share) karte Hai,
-
Good post nahi likhna.
⇒ Ye bhi ek problem hain sahi se post nahi likhna. Likhne ka tarika bahut mayene rakhta hain..apka likhne ka tarika logo ko pasand ana chahiye tabhi wo aapka email subscription lenge aur social media me aapka blog ko like karenge. Isliye sundar se achha language me post likhe. Aur koshish kare chalebul bhasa me likhne ka jisse logo ko samajh me aye.
————————
⇒ Aur antim bat – Agar aap shuruwat se income ka ummid se blogging kar rahe hain to aap galat hain..khud me vishvas rakhe.. aur mehnat karte jaye…dhire-dhire traffic badhega. Aur har roj ek post publish kare. Mehnat karte jaye fal ki chinta na kare samay ane pe jarur fal milega.
I hope ab aapko pata chal gaya hoga traffic kyun nahi milta hain. Aur mai pura kishish kiya hun sachhi bat batane ka aur wahi language me samjhane ka.
Dear friend jaankari achhi lagi ho to kripya hamare social media me follow kare..aur aapke pas samay ho ya koi savaal to kripya comment ke madhyam se puche…
bhut achi jankari apne hamare sath share ki help ful info..for all blogger…thanks
Nice Article sir
sir,
main aapse ek jaankari chahata hu.hum aapne blog ki traffic ko kaise bada sakte hai.
please sir koi aisi trik bataye.jisse hum aapne blog ki traffic ko incarse kar sake.
Aapne Achi Jankaari Di
Par Agar Hum Daily Post Publish na kare to bhi traffic down hota hai kya